Sunday, 10 April 2011

Mery sath tum bhi dua kero

Mery sath tum bhi dua kero yun kisi k haq mein bura na ho
kahin aur ho na ye haadsa koi raasty mein juda na ho

sar-e-sham thairi hui zameen jaha asmaa'n he jhuka hua
ussi mod per mery waasty vo chiragh laike k'hada na ho

meri chaatt se raat ki saijh tak koi aansuoo'n k lakeer he
zara badh k chand se puchna vo isi taraf se giya na ho

mujhe yun laga k khamosh khushu k hont titli ne chu liye
inhi zard pattoo'n k ouat mein koi phool soya hua na ho

issi aihtiyat mein vo raha issi aihtiyat mein mein raha
vo kaha kaha mery saath he kisi aur k ye pata na ho

vo farishty ap talash kry kahaniyoo'n k kitab mein
jo bura kahe na bura sune koi shakhs unse khafa na ho

vo faraaq ho k visaal ho teri aag mehkigi ek din
vo gulaab ban k k'hily ga kia jo chiragh ban k jala na ho

Sahab tha keh sitara

Sahab tha keh sitara, gurez pa hi laga
voh apni zaat k har rang mein hava hi laga

mein ayse shakhs ki masumiat pe kia likhu
voh mujh ko apni khatao'n mein bhi bhala hi laga

zuba'an se chup he magar ankh bat kerti he
nazar uthai he jab bhi to bolta hi laga

jo khawab dainy pe qadir tha, meri nazro'n mein
voh aazaab daite hoye bhi mujhe khoda hi laga

na mery lutf pe hira'an na apni uljhan par
mujhe ye shakhs to har shakhs se juda hi laga

Ab koi sauda koi janu'n bhi nahi

FARAZ Ab koi sauda koi janu'n bhi nahi
Magar qarar se din kat rahe he yu'n bhi nahi

lab va dahan bhi mila guftagu k fan bhi mila
magar jo dil pe guzerti he keh saku'n bhi nahi

na jane kio'n meri ankhain barasne lagti hein
jo sach kahu'n to kuch aysa udaas hun bhi nahi

meri zuban ki luknat se bad guman na ho
jo tu kahe to tujhe umar bhar milun bhi nahi

dukhun k dhair lage hein k log bhete hein
isi diyar ka mein hun aur hun bhi nahi

FARAZ jaise diya qurbat-e-hava chahe
vo pas aye to mumkin he mein rahun bhi nahi

Usey barisho'n ne chura lia

Usey barisho'n ne chura lia k wo badlon ka makeen tha
Kahbe mur k ye bhi to dekta k mera wajood zameen tha

wohe ek sach tha aur is k bad sari tuhmaten jhoot hein
Mere dil ko pora yaqeen hai k wo muhabaton ka amen tha

Usey shoq tha k kisi jazere pe us k nam ka bhi koi phool ho.
 
Mujay pyar karna sikha gia mera dost kitna zaheen tha

Kahbi sahilon pe phiro ge to tmhain seepian b batainge
Mere ankh me jo thar gia vo ashk sab se haseen tha

un ko nishani aur kia daite

Tumhai bakhshi he dil per hukamrani aur kia daite
yahi thi bas hamari rajdhani aur kia daite

saja ker ser hathili par gaye the ko-e-jana'n mein
ham apne ishq mein un ko nishani aur kia daite

vo ham se mangta tha umar ka ek dilnashee'n hisa
na daite us ko ham apni javani aur kia daite

sitaro se kisi ki mang bharna ek fasana he
tumhare nam kerdi zindagani aur kia daite

bechadte waqt us ko ek na ek tuhfa to daina tha
hamare pas tha ankhoo'n ka pani aur kia daite

Ujar lamhon ki dastanain jo tum

Ujar lamhon ki dastanain jo tum kaho to suna'ain tum  ko
Buht sa hum jagte rahe hen chalo zra sa jaga-ain tum ko

Tum hi ho jo roshni si ban ker hamari aankhon mein a base ho
Jab apni aankhain hi keh dia he to phir bhala kion rula-ain tum ko

Gubar aalud raston mein talash ker ker k thak gaye hen
Kahan pe ja k base hoye ho' kahan se hum dhond la-ain tum ko

Tumhain to sukh a gae mayyasar tumhain to hum yaad hi nahi hen
Magar ye batao k hum jo chahain to kis tarah bhula-ain tum ko

Kaho k "JAZIB"ye jhoot he na k tum ne usko bhula dia he
Abhi talak jis ki shokh yadain har ek lamhe sta-ain tum ko.

Mohabaton ka pata chale ga

Hudud-e-Jaan se guzar hua tu Mohebaton ka pata chale ga,

Mohabaton ke Nazar hua tu Mohabeton ka pata chale ga!

Abhi tu Phirte ho Doston mein,
Aziz koi Juda Nahen hy,

Koi Idhar se Udhar hua tu Mohabaton ka pata chale ga!

Abhi Mohabat nahi hoi nan? Kuch is ley Muskura rahe ho,

Kisi ke Bahon men Ghar hua tu Mohabaton ka pata chale ga!

Woh Jis ke Khatir Zamanay bhar ko Tum Apna Dushman bana rahe ho,

Wohi na Apna agar hua tu Mohabaton ka pata chale ga
Hudud-e-Jaan se guzar hua tu Mohabaton ka pata chale ga,

Mohabaton ke Nazar hua tu Mohabaton ka pata chale ga!

Abhi tu Phirte ho Doston mein,
Aziz koi Juda Nahen hy,

Koi Idhar se Udhar hua tu Mohabaton ka pata chale ga!

Abhi Mohabat nahi hoi nan? Kuch is ley Muskura rahe ho,

Kisi ke Bahon men Ghar hua tu Mohebaton ka pata chale ga!

Woh Jis ke Khatir Zamanay bhar ko Tum Apna Dushman bana rahe ho,

Wohi na Apna agar hua tu Mohebaton ka pata chale ga