Ujar lamhon ki dastanain jo tum kaho to suna'ain tum ko
Buht sa hum jagte rahe hen chalo zra sa jaga-ain tum ko
Tum hi ho jo roshni si ban ker hamari aankhon mein a base ho
Jab apni aankhain hi keh dia he to phir bhala kion rula-ain tum ko
Gubar aalud raston mein talash ker ker k thak gaye hen
Kahan pe ja k base hoye ho' kahan se hum dhond la-ain tum ko
Tumhain to sukh a gae mayyasar tumhain to hum yaad hi nahi hen
Magar ye batao k hum jo chahain to kis tarah bhula-ain tum ko
Kaho k "JAZIB"ye jhoot he na k tum ne usko bhula dia he
Abhi talak jis ki shokh yadain har ek lamhe sta-ain tum ko.
ye pori ghazal mil sakti hai kya ?
ReplyDelete