Sunday, 10 April 2011

un ko nishani aur kia daite

Tumhai bakhshi he dil per hukamrani aur kia daite
yahi thi bas hamari rajdhani aur kia daite

saja ker ser hathili par gaye the ko-e-jana'n mein
ham apne ishq mein un ko nishani aur kia daite

vo ham se mangta tha umar ka ek dilnashee'n hisa
na daite us ko ham apni javani aur kia daite

sitaro se kisi ki mang bharna ek fasana he
tumhare nam kerdi zindagani aur kia daite

bechadte waqt us ko ek na ek tuhfa to daina tha
hamare pas tha ankhoo'n ka pani aur kia daite

No comments:

Post a Comment